Tuesday, September 3, 2019

Saal Ka Woh Ek Din , Aur Intezar

Safar kaa mazaa akeley Lena, thoda mushkil Hai..
Tez barish me Ghar sey Nikla, thoda mushkil Hai.. 
Mushkil Hai inn hwaao kaa kaid honaa...
Yeh Ishq , sach kahu...
Tera , Intezar krna,  Mushkil Hai....
Sunna Hai Ishq me baicheniyaa khaa jaati Hai , Rooh ko, 
Aur Jism ko aksr , Intezar dfnaa deta Hai..

Kuchh aisi hi , khwahisho ko dafn Karti yeh kahani Hai , Alter Ishq ki.....
Jismey uska woh din bhi mayuss bhara Hai , jisme Woh khulkar Jiti Hai ,Khudi ko....
Waise , Apna desh bhaarat , festivals yaani teej tevhaaro Ka Maha-Sagar Hai ..
Ismey har rishtey Aur har insaan ke liye, koi naa koi ek parv , upwaas yaa utsav shamil Hai... Joh utna hi khubsurt Hai , Jitna Uske aaney Ka Intezar krnaa...

Toh ab Aayie iss kahani Mey Alter Ishq ko samjhne ki koshish Katey Hai..

Ek Ishq Jo Ghar me rehta Hai , aur talaash Karta Hai apna Woh saathi jisme Yeh Ishq bstaa hai..
Aaj naa jaaney kyu yeh behad niraash Hai..
Din khushio kaa Hai , Par Iske Dil me  mayusio Ka waas Hai...
Din dhalta Hai toh , toh yeh Ghar ke chhat par chadh , Apney Ishq Ka Intezar Karti Hai, Jo issey Kahi dur , jaa bsaa Hai..

Aaj Pura Saal hone ko Aaya Hai , Aur Woh Ishq abhi wapas nhi Aaya Hai..

Aur Iska,  Woh tevhaar aa gya , Jo Uske Bina adhura Hai.. Aaj Ghar me, badi chachi , Didi , Bhaiya , Sakhi - Saheli , Sb bahot Khush Hai.. lekin yeh aaj bhi Intezar Mey Hai, Apni Puri Khushi key..
Wese toh ....
Bazaar ki karib, sabhi kimti chizo ko kharid , khud ko behad kimti bnya Hai.
Lekin fir bhi iska mol laganey wala, Ghar nhi aaya Hai... Yunn toh
Khubsurti ko kharid mene , Isney saadi Mey pehna Hai, Aur aankho ki chamak , Isske  kaajal kehnaa Hai..
Gahno ko samet Isney , Aaj Har Sringaar Kar dhaaley Hai...
Saji aaj Puri Hai... Fir bhi adhura har ek Sapna Hai..

Subah kaa Suraj dubta ,Aur shyaam kaa chaand niklta Hai ...
Intezar kaa har pehar ,Naa Jaaney Apni konsi baat, issey kehta Hai..
Aur yeh Apni Ishq ki yaad ko liye , bs Ussi key aane intezar karta Hai..
Intezar , mayusi ko khat likhta Hai Aur iskey Dil ke saamney , yeh Pura Sandesh padhta Hai.., 
Jisey Sunkr, Iska Mnn naa jaaney kyu,  itna tadpta Hai.. Aur uskey Naa aaney kaa ishaara samjhta Hai...
Fir uski yaado ko Sahil bnaa ,  Aankho key jariyein , khwaabo Mey Bula ,
Ishq key Unn khubsurt Palo ke Saath sone lgta Hai... Jismey Woh Ishq Dilsey  samjhta Hai...

8 comments:

  1. Intzaar kya hota pal bhar ka.. Ghanto ka.. Din ka rat raat ka din me bdlna.. Din ka mhine or mhino ka saal or saal ka saalo me bdlne kaa... Fir bhi kisi ke ek lmhe milne ka intzar... Sayd ye hota hai intezaarπŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  2. Ek saal purana kissa hai..
    ek ladki thi dewani si.

    thodi pagla si thodi anjani si..
    ek din galti se ishq kar baithi..

    ek ladke ki sirat par mar baithi.
    or aaj ka ye kissa hai..

    wo kabristan ka ek hissa hai..
    wo kisi k ishq me khud ko maar gyi..

    sari duniya se to jeet gayi.
    bas apne ishq se hi haar gayi.πŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  3. "Ek muddat ka lamba intzaar ho tum mera ,kaise ek pal mai saare dard baya kar du ,jo aaj mile ho toh is dil ko sukoon k intza nahi ,kuch is tarah khud ko tujhmai fanha kar du, dard jo chupa tha dil mai aankho mai utar aya hai bas ab sirf tujhe dekhu aur khud ko zindagi se juda kar du k muddat ka lamba intzaar hai tu mera Kaise ek pal mai saare dard baya kar du"..

    ReplyDelete
  4. 1 khamoshi bekarar kar jati h, ek khamoshi ikarar kar jati h, pyaar karo to kabhi khamosh mat rahna quki kabhi-2 sirf ek khamoshi zindagi bhar ka intzaar ban jaati haiπŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  5. Jaane kya kashish hai in aankhon mein, ki in mein kho jaane ko jee chahta hai,πŸ’•πŸ’•
    aakh band karte hi sapna haqiqat aur aankh kholte hi haqiqat ek πŸ’•πŸ’•lamba intzaar ban jaata hai!πŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  6. Pehle Lamba Intzaar or fir ek lambi judai hai ....
    ishq kamaal tera Tu hi dard or tu hi dawai hai πŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  7. EK LAMBA INTZAR...
    Uth-Uth Ke Kisi Ka Intzaar Kar Ke Dekha
    Kabhi Tum Bhi Kisi Se Pyar Kar Ke
    Dekhna.
    Kese Toot Jate Hai Mohabbat Ke Rishte,
    Galtiya Kabhi Do Chaar Kar Ke Dekhna.
    Agar Samjhna Ho Kabhi Zindgi Ka
    Fasana,
    Toh Barish Mei Kacchi Deewar Bana Ke
    Dekhna.
    Nafrat Ho Jayegi Tumko Bhe Is Duniya
    Se,
    Mohabbat Kisi Se Beshumar Karke dekhna πŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  8. Jab intzaar lamba aur baate chhoti ho jaye . .........to samjh jana chahiye ..........
    apka pyaar ek tarfa ho gaya h......

    ReplyDelete