Sunday, October 20, 2019

Mere Ghar Ki Mehndi....

Aaj Mein Bahot Khush Tha,  Kyuki Umeedo Ke Gamley Mey , 
Ek Naya Paudha Nikhar Kar Aaya Tha... 
Kaali Mitti Ki Ret Me,  Ek Pyara Phool Khil-Khil-Aaya Tha ... 
Aur.. Mene , Issey Dekhte Hi, 
Iske Liye Khwaabo Ka , Ek Mahal Apne Dil Me Banayaa Tha.. 
Aur Fir Iss Dil Ki Khwahisho Par......Baarish Ki Bundo Ne Bhi Apna Ghar Basaya Tha ,

Lekin Dhire Se Barish Ki Bund Me Pathar Shaamil Huye ...  
Me Kuchh Kar Paata Isse Pahle , Woh Pathar Mere , Mahal Ko TodKar Na Jaaney Kidhar Chale Gaye.... 

Kuchh Aisi Hi Kahani Hai.... 
Jahaa Sab Jagah Pyaar Faila Hai... Lekin Waqt Ke Karwat Ke Aage , Iss Pyaar Ka Koi Wazood Nhi Rehta.... 
Aur Iski Jagah... , 
Zidd , Gussa , Lachari ,Majburi , Bebasi , Jaise  Haalat Le Lete Hai... 
Aur Fir Woh Hota Hai , Jo Hamari Umeed Me Nahi Hota... 

Toh Shuru Karte Hai ... Iss Alter Ishaq Kahani..... 

Baat Unn Dino Ki Hai , Jab Ek Mehndi Ke Vaipaari Ki Beti, 
Ke Hatho Me Mehndi Lagne Waali Thi.... 
Shaadi Aache Ghar Me Aur Achhe Ladke Se Ho Rahi Thi , Toh Ghar Me , Sab Bahot Khush The , Beti Bhi Khush Aur Kuchh Sapne Bun Chuki Thi Aur Undino Pita Ka Mehndi Ka Vaipaar Bhi Achha Chal Rha Tha...

Lekin Jaise Hi Uske Beti Ke, Mehndi Ki Tareekh Paas Aayi , Woh Beti Thodi Dari Aur Ghabrai... 
Kyuki Jiske Haatho Me Mehndi Sajani Thi.. Uske Haath Ab Mayus The.... 
Aur Unn Haatho Par Malikana Haq Rakhne Wali Woh Beti , Ab Khush Nhi Thi.... 
Samsyaa Sirf Itni Thi, Ki Ishq Ka Ek Panna Uski Zindagi Me Bhi Shamil Tha.. Jo Uska Kabhi Bhi Nahi Tha.. 
Ab Ashaao Ke Mele Mein , Woh Anjaan Bani Bhatkne Toh Lagi Thi..
Par Talaash Bhi Uska Kar Rahi Thi, Jo Uss Mele Me Kabhi Shamil Hi Nahi Tha..
Aise Rishtey,  Jo Pannptey Toh Hai , Par Faltey Nahi.. Aise Ishaq Koi Wazood Nahi Hota , 
Kyuki Isme Ek Hissa Gambhir , Toh Dusra Gambhir Nahi Hota... 
Fir Aisa Rishta, De Jaata Aksar Woh Takleef Apno Ko , Jo Unki Zindagi Me Kabhi Shamil Hi Nhi Hota.. 

Khair Kahaani Mein, Aage Badhte Hain.. 

Yeh Jaankar Pita Ke , Aankho Ke Aage Andhra Kabzaa Karta Hai.. 
Aur Woh Inn Sabse Gumraah , Apne Aapko Kayi Baar Bedio Me Jakdtaa Hai.. 
Aur Haalaat Ko Sambhalney Ke Liye , Apno Ke Aage Tadptaa.. 
Aise Me..
Fir Apne,  Apno Se Bahot Saari Baate Karney Lagte Hai , 
Haalaato Ko Gair Samjh Khudi Se Beh-Panhaa Naa Jaaney Kyu Ladte Hai... 
Fir Chnd Lamho Ke Iss kamjor Ishaq Ke Kaaran , Zindagi Bhar Ke Ishq Ko Dasney Lagta Hai... 
Aise Me, Mehndi Kaa Ye Vaipaari , 
Apne Ghar Ki Mendi Ke Aage , Apne Aapko Kayi RAGDTA Hai.. 
Aur Chahta Itna Hai Ki.. Khushi Ka Woh Gehra Rang Uske Beti Ki ,Zindagi Me Hamesha Ke Liye Chad Jaaye .,
Naa Ki Woh Rang Jo Hmesha Andhere Me Rahta Hai..
Khair., 2 Saal Ke Pyaar Ke Aage, Yeh 21 Saal Ka Pyaar Kayi Baar Tutta Aur Bikharta Hai...
Tab Jaa Kar,  Apno Aur Samaaj Ke Karan Yeh Khushiyo Ka Rishta , Bahot Hi Niraasa  Ke Saath Judta Hai..
Beti Ko Mehndi Bhi Lagti Hai., Aur Uski Doli Bhi Uthti Hai.. 
Par Khushio Ka Woh Rang , Ab Ruth Gya Tha.. 
Aur Aise Me ,Woh Pita....
Bahot Kshmaksh Me Fsa , Khud Se Yeh Hi Puchh Rha Tha..,
Kyuki Woh Samjh Nhi Paa Raha Tha...Ki
Kis Mehndi Ka Rang , 
Uske Aangan Me Nhi Chada... 
Uska , Jiska Woh Vaipaari Tha.. 
Yaa Fir Uska , Jiska Woh Pita Tha..



No comments:

Post a Comment