Sunday, October 27, 2019

Diwali Ke Diye.....



Bantey Hai , Bigdtey Hai.. 
Kadi Dhoop... Me Jaltey Hai... 
Yeh Diwali Key Diye Hai,  Janaab ...
Aise Thodi Bazaar Mein Nikaltey Hai.. 

Sajtey Hai , Sawartey Hai...
Tarah Tarah Ke ,Rango Me Dhaltey Hai...
Yeh Diwali Key Diye Hai, Janaab .
Aise Thodi Bazaar Mein Nikaltey Hai...

Chote Hai , Badey Hai....
Har Saanchey Me Dhaltey Hai... 
Yeh Diwali Key Diye Hai, Janaab... 
Aise thodi Bazaar Mein Nikaltey Hai...

Umeed Hai , Roshani Hai....
Har Kimat Mey Miley Hai... 
Yeh Diwali Key Diye Hai.. Janaab
Aise Thodi Bazaar Mein Nikaltey Hai... 

Apkey Hai , Hamarey Hai..
Har Ghar Me Sajj Ke Nikhartey Hai... 
Yeh Diwali Key Diye Hai, Janaab
Aise Thodi Mein Nikaltey Hai.. 

Deepo Ka Yeh Pyaara  , Festival Aap Sabko Bahot Bahot Mubaark... 
Happy Diwali...







Sunday, October 20, 2019

Mere Ghar Ki Mehndi....

Aaj Mein Bahot Khush Tha,  Kyuki Umeedo Ke Gamley Mey , 
Ek Naya Paudha Nikhar Kar Aaya Tha... 
Kaali Mitti Ki Ret Me,  Ek Pyara Phool Khil-Khil-Aaya Tha ... 
Aur.. Mene , Issey Dekhte Hi, 
Iske Liye Khwaabo Ka , Ek Mahal Apne Dil Me Banayaa Tha.. 
Aur Fir Iss Dil Ki Khwahisho Par......Baarish Ki Bundo Ne Bhi Apna Ghar Basaya Tha ,

Lekin Dhire Se Barish Ki Bund Me Pathar Shaamil Huye ...  
Me Kuchh Kar Paata Isse Pahle , Woh Pathar Mere , Mahal Ko TodKar Na Jaaney Kidhar Chale Gaye.... 

Kuchh Aisi Hi Kahani Hai.... 
Jahaa Sab Jagah Pyaar Faila Hai... Lekin Waqt Ke Karwat Ke Aage , Iss Pyaar Ka Koi Wazood Nhi Rehta.... 
Aur Iski Jagah... , 
Zidd , Gussa , Lachari ,Majburi , Bebasi , Jaise  Haalat Le Lete Hai... 
Aur Fir Woh Hota Hai , Jo Hamari Umeed Me Nahi Hota... 

Toh Shuru Karte Hai ... Iss Alter Ishaq Kahani..... 

Baat Unn Dino Ki Hai , Jab Ek Mehndi Ke Vaipaari Ki Beti, 
Ke Hatho Me Mehndi Lagne Waali Thi.... 
Shaadi Aache Ghar Me Aur Achhe Ladke Se Ho Rahi Thi , Toh Ghar Me , Sab Bahot Khush The , Beti Bhi Khush Aur Kuchh Sapne Bun Chuki Thi Aur Undino Pita Ka Mehndi Ka Vaipaar Bhi Achha Chal Rha Tha...

Lekin Jaise Hi Uske Beti Ke, Mehndi Ki Tareekh Paas Aayi , Woh Beti Thodi Dari Aur Ghabrai... 
Kyuki Jiske Haatho Me Mehndi Sajani Thi.. Uske Haath Ab Mayus The.... 
Aur Unn Haatho Par Malikana Haq Rakhne Wali Woh Beti , Ab Khush Nhi Thi.... 
Samsyaa Sirf Itni Thi, Ki Ishq Ka Ek Panna Uski Zindagi Me Bhi Shamil Tha.. Jo Uska Kabhi Bhi Nahi Tha.. 
Ab Ashaao Ke Mele Mein , Woh Anjaan Bani Bhatkne Toh Lagi Thi..
Par Talaash Bhi Uska Kar Rahi Thi, Jo Uss Mele Me Kabhi Shamil Hi Nahi Tha..
Aise Rishtey,  Jo Pannptey Toh Hai , Par Faltey Nahi.. Aise Ishaq Koi Wazood Nahi Hota , 
Kyuki Isme Ek Hissa Gambhir , Toh Dusra Gambhir Nahi Hota... 
Fir Aisa Rishta, De Jaata Aksar Woh Takleef Apno Ko , Jo Unki Zindagi Me Kabhi Shamil Hi Nhi Hota.. 

Khair Kahaani Mein, Aage Badhte Hain.. 

Yeh Jaankar Pita Ke , Aankho Ke Aage Andhra Kabzaa Karta Hai.. 
Aur Woh Inn Sabse Gumraah , Apne Aapko Kayi Baar Bedio Me Jakdtaa Hai.. 
Aur Haalaat Ko Sambhalney Ke Liye , Apno Ke Aage Tadptaa.. 
Aise Me..
Fir Apne,  Apno Se Bahot Saari Baate Karney Lagte Hai , 
Haalaato Ko Gair Samjh Khudi Se Beh-Panhaa Naa Jaaney Kyu Ladte Hai... 
Fir Chnd Lamho Ke Iss kamjor Ishaq Ke Kaaran , Zindagi Bhar Ke Ishq Ko Dasney Lagta Hai... 
Aise Me, Mehndi Kaa Ye Vaipaari , 
Apne Ghar Ki Mendi Ke Aage , Apne Aapko Kayi RAGDTA Hai.. 
Aur Chahta Itna Hai Ki.. Khushi Ka Woh Gehra Rang Uske Beti Ki ,Zindagi Me Hamesha Ke Liye Chad Jaaye .,
Naa Ki Woh Rang Jo Hmesha Andhere Me Rahta Hai..
Khair., 2 Saal Ke Pyaar Ke Aage, Yeh 21 Saal Ka Pyaar Kayi Baar Tutta Aur Bikharta Hai...
Tab Jaa Kar,  Apno Aur Samaaj Ke Karan Yeh Khushiyo Ka Rishta , Bahot Hi Niraasa  Ke Saath Judta Hai..
Beti Ko Mehndi Bhi Lagti Hai., Aur Uski Doli Bhi Uthti Hai.. 
Par Khushio Ka Woh Rang , Ab Ruth Gya Tha.. 
Aur Aise Me ,Woh Pita....
Bahot Kshmaksh Me Fsa , Khud Se Yeh Hi Puchh Rha Tha..,
Kyuki Woh Samjh Nhi Paa Raha Tha...Ki
Kis Mehndi Ka Rang , 
Uske Aangan Me Nhi Chada... 
Uska , Jiska Woh Vaipaari Tha.. 
Yaa Fir Uska , Jiska Woh Pita Tha..



Saturday, October 19, 2019

Ek Ghoont Aur Sahi.....

Chaahat Yun To Sabhi Rakhte Hai...
Kabhi Jayda Toh Kabhi Kam Rakhte Hai..
Khair Chahto Aur Umeedo se Judee iss Duniya me Aksr Har Baat Waisi Nahi Hoti , Jaisa Hum Chahte Hai.. Waisa Mil Nahi Paata...
Kuchh Aisi Hai Story Hai Yeh..
Suljhi Si , Unsuljhi Si.....
Ek School Ki Library Ke Gate Ke Paas , Khadi Ek Ladki.. Jo Library Ke Gate Tak Hi Simit Hai.. Shyad Usko Isse Aage , Jaane Ki Izzazt  Nahi... 

Vastav Me Uss School Ki,  Ek Nayi Building Ka Kaam Chal Rha Tha..
Toh Kuchh Majaduro Ney , Chhote Chhote Tent Bna Rkhte The.. Jimne Se Kuchh Ka Parivaar Bhi Wahi Unke Sath Hi Rehta Tha.. Jabtak School Ki Nayi Building Ka Kaam Chal Rha Tha.

Unhi Parivaar Me Se Ek Ladki Woh Bhi Thi...Jo Uss School Ki Library Tak Hi Simit Thi..
Aankho Se , Books Ko Dekhte Hi , Uski Aamkho Me Chamnk Si Aa Jaati Thi.. Jisey Dekh..., Uski Chaht,  Saaf Samjh Aati Thi..

Lekin Drishay Tha Jo Chubhta Tha , Woh Yeh Ki.....  
School Ke Bachho Ke Haath Me Kitaabe.. Aur Uske Haatho Me Woh  Ek Taslaa..

Jo Buniyaad Khadi Kar Rha Tha , Aaney Waaley Sapno Ki... Unn Umngo Ki , Jo Uss Nayi Banney Waale Building Me Padney Wale The...

Aur Iss Har Pal Ko Nihaartey , Samjhatey  Woh Log Jo Gujara Karte The , Usi Dagar Sey , Jhaa  Ek Umeed , Ek Sapna , Ek Khwahish , Bas Uss Ek Ghoont Ko Betaab Thi... Jo Uski Ashaayein Puri Kar De.. , Par Woh  Raahgir Uski Har Khwahisho Ko Jaante Huye Bhi.. Uske Samne Khaamosh The .. 

Khair Yeh Silsilaa Jabtak Chala Jab Tak School Ki Nahi Building Ban Nahi Gayi...  Umeede Dam Todti Gayi, Aur Raasto Ne Manzil Badal Li....

Ab Uss Ghoont Ka Pta Nahi , Jo Woh Chahti Thi... Lekin Ghoont To Li Thi Usne.. Uss Library Ka Gate Hamesha Ke Liye Chhorte Waqt.. 

Woh Kehte Hai Naa.... 

Key.... Nahi Milti, Har Udaano Ko Woh Manzil...  , Kahi Kismat Ruthi , Toh Kahi Raah Tuti  Hoti Hai...