Tuesday, September 17, 2019

Ek Din Sukun Kaa.....

Ummid key dhaago Mey , khawahisho ke phoolo ko piro Kar rakhta hu har din..
Isko yakeen ka Haar bannaney keliye...
Yunn toh Niklta Hun Aksar....
Mere Roshani par chhaaye inn baadlo se Ladney... lekin issey inkalti maasum Bundey,  bhigo deti Hai mere jism sey niklney waale har gusse ko , Aur Labbo par rakhi har shikayte , achank gir si jaati Hai... Inn motio se baney chhote se samundar me Kahi...
Aur.....
Mein shaant khada , mehsus Karta hun.. ek anokhey se sukun ko..
Par asal me ,Isney fsaa liya Hai.. mujhe Apne jaaduyi khel mey .., jisney merey jism Mey basey har gussey ko chura liya tha.. Aur Puri Tarah khud ko lutaaney ke baad bhi .., khud ko naa jaaney kyu  ab bhi amir samjh rha tha .
Zindagi ke khuchh aise hi , jaduyi kissey judey Hai hamerey Jivan sey..
Jiski ummid ki Roshani bahot dur tak faili Hoti Hai .. Aur Dil yeh Sochta Hai , Zindagi kaa, Ek padaav toh me Iss Roshani key sahaare , Ek din toh paar Kar lunga..
Par..
Asal Mey Zindagi bahot badmaash hai..,  waqt ke saat milkar yeh , ummid key  sahaarey khelti har khel...
Aur dimang ko Majboot Kar ,khokhla Kar deti Hai , Jivan key Har Aadhaar ko...

Aur sukun kaa Woh Ek Mukamal Din ..
Askar hamre Zindagi ke Saath huye contract ke baad bhi mukamal nhi hota..
Kyui...
USS waqt Bhi.. kuchh Rab sey, hamaarey Rooh ko sukun Miley ki prathnaa Kar rhe hote Hai ...

12 comments:

  1. Teri khamoshi agar Teri majboori h, to rahne de ishq, Kon Sa jruri hπŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  2. Ek Dil Tha❤! Ek Din Tha!🌻 Ek Raat Thi! πŸƒMagar sukoon nhi tha Us meinπŸƒLog Pochty Rahey Gaye Hum SamjhTy Rahey Gaye apney Dard_E_DilπŸ’” ki KahaniπŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  3. Ek Din Apne Khwabon Ka, Chahaton Ka Ghar Hoga,
    Bohat Haseen, Woh Apni Mohabbaton Ka Ghar Hoga..!!

    Tanhaiyon, Faaslon Ko Is Dar Par Aane Ki Izazat Nahi,
    Humara Woh Khushiyon Ki Hukumaton Ka Ghar Hoga..!!

    Rang Dungi Har Deewar Ko Main Apni Mohabbat Se,
    Saath Tere, Woh Meri Muskurahaton Ka Ghar Hoga..!!

    Kar Lena Aaram Mere Aachal Ki Chao Mein Har Shaam,
    Mile Jahan Sukoon Aaisa Woh Raahaton Ka Ghar Hoga..!!

    Sajda Karega Chand Bhi Har Raat Apne Aangan Mein,
    Kitna Khubsurat, Woh Ishq Ki Ibadaton Ka Ghar Hoga..!!

    Thodi Tum Se, Thodi Hum Se, Yeh Wafayein Maangega,
    Hum Dono Se Bana Woh Apni Hasraton Ka Ghar Hoga..!!

    ReplyDelete
  4. Kaise jee rahi hu main nahi janti,
    Kyu ab tak zinda hu nahi janti..!!

    Maut ka kya hai aani hi hai ek din,
    Tu kab aayega nahi jaanti…!!

    Chahti hu sirf tujhe zamana janta hai
    Tu kab chahega nahi jaanti…!!

    Teri thi teri hun teri hi rahungi,
    Tu kab mera hoga nahi janti….

    ReplyDelete
  5. Dil Ka Dard Ek Raaz Banke Reh Gaya,
    Mera Bharosa Mazak Banke Reh Gaya,
    Dilo Ke Saudagar Se Dillagi Kar Baithe,Shayad
    Is Liye Mera Pyaar Mazak Ban Ke Reh Gaya

    ReplyDelete
  6. Kash Ek Din Aisa Bhi Aaye ki Main Subah Ankh Kholu Aur Chehra Tera Najar AayeπŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  7. Mere dard ko bhi aah ka haq hain,
    Jese tere husn ko nigaah ka haq hai
    Mujhe bhi ek dil diya hai khuda ne
    Mujh ko bhi ek gunaah ka haq hain.πŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  8. You can say Srry, but you can't change the story πŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  9. Koi zakhm nahi fir bhi dard ka ehsas hai,

    Lagta hai dil ka ek tukra aj bhi uske paas hai.
    πŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  10. Ek din tujhe bhi milega tere jaisa
    Tab tujhe malum hoga ki
    Dil ka Dard kya hota haiπŸ’•πŸ’•

    ReplyDelete
  11. Aaj fir Jane q unki yadon me ankhe bhar aayi hai,.
    Lagta hai fir se Dil ne dimag Ko haraya hai.....
    Ho sakta hai unhe v hamari yad aayi ho ek pal ko.,
    Bs yahi soch ke samjhana padata hai khud Ko ki wo apna nahi paraya hai.🀫🀫🀫

    ReplyDelete
  12. Maine Kaha:- wo ajnabi hai
    Dil ne kaha:- Nai ye dil ki lagi hai
    Maine Kaha:- wo ek mitha sa sapna hai
    Dil ne kaha:- Fir bhi apna hai
    Maine Kaha:- Maine kaha shayad kahi pe kuch galti hai
    Dil ne kaha:- LIfe aise hi chalti hai
    Maine Kaha:- ye meri haar hai
    Dil ne kaha:- Are PAgal Yahi to"PYAR" hai

    ReplyDelete